Sunday 11 January 2015

Ab hum kaha jayein

12/1/15

Dhundhlaa sa rasta hai..
Anjaan si rahein
Khaufzada waadiyan hai
Dari Dari si fizaaein
Maddham si dhadkan hai
Bechain nigahen
Na dikh rahi manzil hai
Ab hum kahaan jayein....

Ajeeb si uljhan hai
Sawaal hai har kahin
Jawaabo KO taraste hai
Uljhe se fasane
Khamosh zubane hai..
Khamosh sadaaein..
Na dikh rahi manzil hai
Ab hum kahaa jayein....

Zakhm gehraa raha hai ab
Waqt ki raftaar ke saath
Humsafar nahi hai koi
Jo isko mitaaye
Na dawaa hai koi
Na koi duayein
Na dikh rahi manzil hai
Ab hum kahaan jayein....

-prerna.

No comments:

Post a Comment