Monday 24 July 2017

... yaadein...

Jane kyu tumhari yaad kabhi akele nahi aati.....
...mayusi....thakaan...bechaini....bebasi...
Saath le ati hai...
Keh do usse...ki itne Sitam ek saath la Kar....
...tumhare na hone k ehsaas na badhaya kare....
..aana hi hai usko to aaye....par saath ye Karwan na laaya kare....

Jane kyu tumhari baatein....lafz-dar-farz yad hai mujhe ab tak
Barson pehle jo kahi thi tumne...vo aaj bhi tumhare lehze me....tumhari aawaz m...sunai deti h....
Keh do tumhari baaton se ki kya matlab hai yun Dil dimaag me basne ka
Rehna hi hai unhe Dil me to guzra wakt ban jaaya kare
Gunje chahe mere kaano me Roz....par tumhari Aawaz me na aaya kare....

Tuesday 4 July 2017

....tanha chhod kar...

Kuch log milte hai…..bicchad jate hai

Sawan ki pehli barish ki tarah
Jo ek Baar ati h….. or mitti ki khushbu se
Har Dil me Sama jati hai
Fir Laut kar aati nahi ek Baras tak……

Sooraj ki pehli Kiran ki tarah
Jo bikher deti hai, raat ke andhere Ko
Nayi subah, nayi kahaani, nayi umeed ban kar
Par Chali jati hai fir usi andhere me
Tanha chhod kar…..

Sagar ki us Lehar ki tarah
Jo uthti hai, or bechain hokar
Kinare se Milne aati to hai
Par sath nahi Rehti us ke…
Chali jati hai bhigo kar usko
Fir tanha chhod kar…..

Kuch log ese hi aate hai zindagi me
Milte hai….or Dil me utar jate hai
Wakt bitaate hai Sath….yaadein banate hain
Pakadte hai hath….kuch pal k lie
Fir chhod dete h ungaliyon Ko…..bekaraar si…..
Kisi ke saath ki arzoo me
Kho jate hai wakt ki silwaton me Kahi
Kisse or kahaniyo ke kirdaar ban jate hai

Intezar Karti dhadkanon Ko….chale jate hain…..tanha chhod kar….