Tuesday 30 December 2014

...alvidaa....

Lamhe beet rahe hai....
Waqt guzar raha hai...
Lamha dar lamha .....peher dar peher...
Ret haathon se fisalti ho jaise....
Ashk aankhon se nikalte ho jaise...
Beh rahi hai zindagi jharne k tarh
Ek or daastan jese Jud rahi hai zindagi ki kitaab me....
Hazaaron wakiye liye....laakhon yaadein liye..
Kaii tooti Hui khwahishon ki chubhti Hui kirche
Kaii toote hue patte armaanon ke shajar se
Dard boht hai mila hua guzre hue samay se
Khushiya bhi behisaab hai yaadon ki galiyon me
Ek or saal khatm ho raha hai
Apne saath apni har baat lekar
Aa rahi hai nayi subh...naye armaan...nayi ummeed liye...
Naye patte se...nayi kalam se...nayi daastan ka aagaaz likhna hai
Or jaate hue saal KO muskuraata hua alvidaA likhna hai...

Thursday 25 December 2014

...sardi badi hai...

Mausam sard h bada...hawaaein chubh rahi hai
Dhoop maddham si hai....ghataein has rahi hai
Log chhup rahe hai gharon me....sadke khali padi hai
ESE aalam me garm chai mehngi badi hai
Chulha dost ban gaya...razaai mehbooba bani hai
Subh k sooraj se hai yaari..shaam se dushmani ghani hai
Jinka mehboob saath hai unpe meher hai khuda ki
Par jaha door hai dilbar vaha mushkil ghadi hai...

Thursday 4 December 2014

..ash..aar...

Vo to us mehfil me sabki pehchaan kapdo se ho rahi thi...
Varna hum bhi waha k khaas mehmaan hote,......


Har khwaab koshishon se pura nahi hota
Kuch hath kismaton ka bhi hota hai...


Jeet-e-jee jannat dekhne ki khwaish thi mujhe
Shayad isiliye Maine tumse muhobbat kar li.

Tuesday 25 November 2014

vo bachpan ki kashti

bachpan me maine ek baar
ek kashti banaai thi
kaagaz ki, bohot kamzor, bohot chhoti,
yaad hai mujhe, vo baarish ke din the,
us kashti ko bahaaya tha maine,
ghar ke bahar, behte hue paani me,
door tak use jaate hue, mai dekhti rahi,
aakho me adbhut chamak aur,
dil me do jahaan se bhi zyada khushi lie hue
.........na jaane kyun.....................

aaj malkin hun mai...
sapno se bhare, bohot mazboot, bohot bade,
ek jahaaz ki,
jisme taakat hai, samunder ki,
dumdaar lehron se ladne ki,
toofaano me aage badhne ki, magar
is jahaaz ke sabse uche chhor par khade hokar,
mujhe vo kashti bohot yaad aati hai,
bade se samunder me, nazrein dhundti hai,
meri vo kaagaz ki, kamzor kashti,
.........na jaane kyun.............

Monday 17 November 2014

mushkil thaa...

17th Novenber, 2014
10:21 PM

Jab maloom hua tu aaega aaj mehfil me,
to khud ko aane se rok paana mushkil tha...

tu saamne khada tha mujhe maloom tha magar,
bedhadak tujhse nazaren milaana mushkil tha...

barso baad tujhe apne aas paas paa kar,
dil ko behakane se fir bachaana mushkil tha...

pehle badha ke kadam teri gali aana mushkil tha,
jab aa gaye to fir yahaan se jaana mushkil tha....

-Prerna.

Tuesday 28 October 2014

28th October, 2014
6:45 PM

AB TUM MAT AANA...

kabhi mujhse milne milaane ke liye mat aana
aana to dil se aana, dikhane ke liye mat aana...

mujhse jo rishta hai tera jab tak uski kadr na ho
tab tak tu mere paas rishte banane ke liye mat aana...

jo muhobbat maine di hai tujhe use dafn kar dena kahi
kabhi bhool kar bhi usko jagaane ke liye mat aana...

agar aao kabhi mere saamne to aakho me jazbaat ho
mujhe behlaane ke liye, baate banane ke liye mat aana

tere bina zindagi na sahi par jee lungi mai kisi tarh
agar tu hasa nahi sakta, to rulaane ke liye mat aana

meri hakeekato se tu jo rishta tod ke jaa raha hai
to fir mere khwabo me mujhe jalaane ke liye mat aana...

beshart muhobbat kar sako to karna mujhse
par kabhi bhi mujhko paane ke liye mat aana...

tera  aa aa ke chale jaana mai seh nahi paungi
itna rehem karna jab aao to fir jaane ke liye mat aana...



- prerna.

Sunday 26 October 2014

The Inside Me...Prerna Pujari: Mujhe zaroorat hai

The Inside Me...Prerna Pujari: Mujhe zaroorat hai: mere kandhe pe tere haath ki, mere jeevan me tere saath ki, mere hothon ko teri baat ki, ek sukun bhari raat ki, mujhe zaroorat hai.......

Mujhe zaroorat hai

mere kandhe pe tere haath ki,
mere jeevan me tere saath ki,
mere hothon ko teri baat ki,
ek sukun bhari raat ki,
mujhe zaroorat hai....


mere ansuo ko teri samjhaish ki,
udaas zindagi ko ek khwaish ki,
nigahon me tere chehre ki,
charon or tere pyaar ke pehre ki,
teri ankho me mere liye vishwaas ki,
tannhaiyo ko tujh jese kisi khaas ki,
tujhse milne pe mili khushi ki,
meri har baat pe teri hasi ki,
mujhe zaroorat hai......

meri khamoshiyon ko gazal ki,
tere saath guzre ek ek pal ki,
tute patte ko jese  hawaon ki,
bhatke musafir ko dishaon ki,
mere chehre ko teri nazar ki,
andheron ko jese seher ki,
mere raaston ko ek manzil ki
dard ke toofan me saahil ki
mujhe zaroorat hai................

vo jo bhi mangata hai mujhse, mai beshart diye jaati hu
dekhte hai usme khudgarzi zyada hai, ya hum me muhobbat zyada....

Tuesday 21 October 2014

the beginning

dil me jo dariya hai alfaazon ka, uske ufanane ki shuruaat ho rahi hai...
meri kalam or kagaz ke beech tere baare me kuch baat ho rahi hai......