Tuesday 25 November 2014

vo bachpan ki kashti

bachpan me maine ek baar
ek kashti banaai thi
kaagaz ki, bohot kamzor, bohot chhoti,
yaad hai mujhe, vo baarish ke din the,
us kashti ko bahaaya tha maine,
ghar ke bahar, behte hue paani me,
door tak use jaate hue, mai dekhti rahi,
aakho me adbhut chamak aur,
dil me do jahaan se bhi zyada khushi lie hue
.........na jaane kyun.....................

aaj malkin hun mai...
sapno se bhare, bohot mazboot, bohot bade,
ek jahaaz ki,
jisme taakat hai, samunder ki,
dumdaar lehron se ladne ki,
toofaano me aage badhne ki, magar
is jahaaz ke sabse uche chhor par khade hokar,
mujhe vo kashti bohot yaad aati hai,
bade se samunder me, nazrein dhundti hai,
meri vo kaagaz ki, kamzor kashti,
.........na jaane kyun.............

Monday 17 November 2014

mushkil thaa...

17th Novenber, 2014
10:21 PM

Jab maloom hua tu aaega aaj mehfil me,
to khud ko aane se rok paana mushkil tha...

tu saamne khada tha mujhe maloom tha magar,
bedhadak tujhse nazaren milaana mushkil tha...

barso baad tujhe apne aas paas paa kar,
dil ko behakane se fir bachaana mushkil tha...

pehle badha ke kadam teri gali aana mushkil tha,
jab aa gaye to fir yahaan se jaana mushkil tha....

-Prerna.