Tuesday 24 March 2015

...vo tum the...

Jab andhera tha har taraf,
Or door Tak koi aas na thi...
Jab saathi na tha koi saath mere,
Or himmat kesi bhi mere pass na thi...
Jisne rakha tha kandhe pe haath mere,
Or hausala badhaya tha mera...
Mujhe andhero se ladne ka hunar dia,
Or raasta banaya tha mera..

Vo saath, vo hausala, mere kandhe par vo haath, tum the....
Vo roshni, vo raasta, vo ummeed, vo aas, tum the...

Jab zindagi ki zameen sookhi thi,
Or aasman me koi badal na tha.....
Mere nadaan baato KO samajh sake...
ESA kahi koi pagal na tha

Jisne baadal bankar ghani dhoop me,
Mujhe sukoon bhari chhanv Di...
Mere saath hase mere saath roye,
ESE dost ki saugaat Di...

Vo sukoon, vo badal, vo chhav tum the...
Vo pagal, vo saathi, ek apna sa ehsaas tum the...

-prerna.

No comments:

Post a Comment